You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution

Add a Review

Pranesh kumar Ka Rachna Sansaar

Kumar Sarvesh
Type: Print Book
Genre: Literature & Fiction
Language: Hindi
Price: ₹220 + shipping
Price: ₹220 + shipping
Dispatched in 5-7 business days.
Shipping Time Extra

Description

Is pushtak me lekhak ne kavi Pranesh kumar ke lekhan rachnaon par ek sankshipt samikshaatmak Prakash dalne ka pryas kiya hai. Is pushtak me unke charchit rachnaon jaise “Ek hi parivesh”. “sakht jamin ke liye”, “Tumse Mukhatib”, “Hansta hai sutradhaar”, “Dhai Aakhar”, “Ka se Kavita”, “Joost-ju roshni ki”, “Nisha ka Antim prahar”, “Khoya hua Aadmi”, evam “Satya ka jhonka” ko shamil kiya gaya hai.

About the Author

Pranesh kumar hindi sahitya ke pramukh pragatisheel- janwaadi kavi hain. Inki kavitaon me jansamvedna, samajik vidrupta, rajniti ke dansh aur janwaadi chetna dekhne ko milti hai. Lagbhag 5 dashakon se lekhan me sakirya Pranesh kumar ki ab tak 6 kavita sangrah, 1 Geet sangrah, 1 Gazal sangrah, 2 Laghu kathaon ki pushtak prakashit ho chuki hain. Inke alawa inhone darzan bhar pushtako ka sampadan bhi kiya hai.

Pranesh kumar ka janm varsh 1955 me ramgarh zila ke Gola gram me hua. Inke pita hindi sahitya ke pramukh kahanikaar the. Unhone varshon dakshin bihar ke pramukh saptahik - "Chotanagpur Darpan” ka sampadan kiya. Jaahir hai Pranesh kumar par bhi apne pita ki sahityik abhiruchi ka gahan prabhav pada aur ve lekhan ki ore khinchte chale gaye. Inki pehli rachna sambhavtah 1973 me prakashit hui, iske paschaat inki rachnayen desh ki pramukh patra-patrikaon me lagataar prakashit hoti rahi hain.

Book Details

ISBN: 9798895411704
Publisher: Narmada Prakashan
Number of Pages: 85
Dimensions: 5.5"x8.5"
Interior Pages: B&W
Binding: Paperback (Perfect Binding)
Availability: In Stock (Print on Demand)

Ratings & Reviews

Pranesh kumar Ka Rachna Sansaar

Pranesh kumar Ka Rachna Sansaar

(Not Available)

Review This Book

Write your thoughts about this book.

Currently there are no reviews available for this book.

Be the first one to write a review for the book Pranesh kumar Ka Rachna Sansaar.

Other Books in Literature & Fiction

Shop with confidence

Safe and secured checkout, payments powered by Razorpay. Pay with Credit/Debit Cards, Net Banking, Wallets, UPI or via bank account transfer and Cheque/DD. Payment Option FAQs.