You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution

(2 Reviews)

'Bhartiya Arthik Darshan Evam Pashchimi Arthik Darshan Me Bhinnatta'

'Vartaman Paripekshy Me Bhartiya Arthik Darshan ki Badhti Mahatta'
Prahlad Sabnani
Type: Print Book
Genre: Business & Economics
Language: Hindi
Price: ₹599
Price: ₹599
Free Shipping
Dispatched in 5-7 business days.
Shipping Time Extra

Description

Shri Prahlad Sabnani dwara rachit is pustak me bharat ke prachin kaal evm vartman kaal me aarthik vikas tatha vartman me bhart ke pure vishav me aarthik shakti ke roop me ubharane ke sambandh me bahut vistar se varnan kiya gaya hai. Prachin kaal me bharat me sooksham arthashastr ka vichar kin neetiyon par aadharit tha tatha kis prakar in neetiyon ko apnaakar vrihad arthashastr ke kshetr me bharat ke bure samay me aarthik samsyaon ka hal nikaalane me safalta arjit kee jati rahi hai, is vishy ko bahut hee saralata se varnit kiya gaya hai. Aaj jab pure vishav me aarthik vikas kee dar kam ho rahi hai evm kaee viksit tatha anay desh mandi kee aashanka se grist hain, antarrashtriya mudra kosh ka vichar hai ki bharat me mandi kee shoonay sambhavana hai. Bharat aaj vaishvik star par badi arthavyavasthaon ke beech sabse tej gati se aage badhati arthavyavstha ban gaya hai.

Bharat me vrihad arthashastr ke kshetr me adwiteey vikas model, jo sanaatan bhartiya sanskriti evm sadaachari prampraon par aadharit hai, ka varnan bahut sahaj tareeke se kiya gaya hai. Hal hee ke samay me, bharat ne aarthik vikas ke kshetr me atulniy pragati kee hai. Yah isliye sambhav ho saka hai kyonki bharat ne pashchimi aarthik vikaas model, jo adoordarshi hai, artha evm kaam kendrit hai, galaa kaat pratispardha, adhik laabh arjan ke siddhanton par aadharit hai evm isme upbhogvaad ka bolbala evm prakriti ka shoshan spashtah dikhaee deta hai, ke sthan par bhartiya aarthik darshan jo dharam aadharit raha hai, jiske kaaran bharat me bhavyataa ke sthan par divyataa ko adhik mahatv diya jaata raha hai evm yah sarvangeen evm aarthik maanvataavaad ke siddhanton par aadharit hai, ko laagu karane ka prayas kiya hai. Bharat ke vaishvik star par ek aarthik mahaashakti hone ke etihasik sandarbhon ka varanan kiya gaya hai tathaa pashchimi aarthik darshan evm bhartiya aarthik darshan me bhinnatta ko vistaar se samjhaya gaya hai. Aarthik vikaas ke liye aarthik evm gair-aarthik kaarkon ko smaan roop se jimmedar bataya gaya hai. Pashchimi raashtr sanaatan bhartiya prampraon par aadharit santulit evm deerghakalik vikaas model se an-bhigya rahe hain. Pashchim me punjivaad ke prati ghatate rujhan evm punjivaad par aadharit pashchmi aarthik siddhanton ke paalan se Ameriki arthavyavstha par ho rahe prabhaav ka vishesh varnan bhi ek vishesh adhyaay me kiya gaya hai. Saamyvaad, punjivaad ke aarthik model ke baad, aaj teesre aarthik model kee aavshyakta mahasoos kee ja rahi hai.

Yah pustak aarthik vikaas ko aankane ke vibhinn pashchimi evm bhartiya model se to avagat karaati hee hai, saath hee, aarthik vikaas ko aankne ke kuch naye model ka sujhav bhi deti hai. Yah pustak sankshipt parikalpana ke vishaleshan par aadharit nahin hai, prantu bharat apani snaatan sanskriti evm paramparaon kaa paalan karate hue kis prakar apne aarthik vikaas ko gati de sakata hai, is vishay par bhi vichaar kiya gaya hai. Saath hee, desh me aarthik vikaas ko gati dene ke sambandh me bhi kuch naye model sujhaye gaye hain. Bhartiyatta ke "sw" ko jagaane, swadeshi ko badhava dene, sarv samaaveshi vikaas, grameen star tak swawlamban haasil karane kee aavshyakta par bal diya gaya hai. Haal hee me bharat ne kaee kshetron me pure vishav ko raah dikhaee hai, jaise gareebee unmoolan ke kshetr me, vittiy samaveshan se bharat me gareeb varg ka kayakalp ho raha hai, snaatan sanskaron ke paalan se bhart me choti choti bachaton ko protsaahan mil raha hai, bharat me digital kranti anya deshon ke liye udaaharn ban rahi hai, bharatiya sanskaron ko apnaakar bhartiya mool ke nagrik vibhinn deshon me safal ho rahe hain, jaise vishayon ka varnan bhi is pustak me kiya gaya hai.

Lekhak kee arthasaastr vishay me gahari samajh, is vishay par gaharaa adhyyan evm bainking kshetr me vrihad anubhav, spasht roop se dikhaee deta hai. Arthashaastar se sambandhit jatil vishayon ko samanay bhasha me su-spashat vishaleshan karate hue prastut kiya gaya hai, jise aam nagrik bhi bahut aasaani se samajh sakate hai. Aarthik vishyon par hindi bhasha me bahut kam likha jata hai, atah yah pustak pratyek bhartiya dwara padhi jaani chahiye, isme diye gaye vibhinn vishyon par gambhirata se vichar karana chahiye evm bharat ko vishav guru banaane me apna yogdaan dena chahiye. Yah pustak bharat ke neeti nirdharkon, arthashaastriyon, vyavsaaeeyon, anubhavi vyaktiyon, vidyarthiyon, grihiniyon evm samast nagrikon ke liye upyogi siddh hogi.

About the Author

Shri Prahlad Sabnani, Dy. General Manager ke pad par rahate hue Bhartiya State Bank, Corporate Kendra, Mumbai se seva nivaritt hue hain. Aapne bank me up-mahaprabandhak (Aasti Deyata Prabandhan), Regional Manager (do vibhinn sthanon par) padon par rahate hue grameen, ardh-shahari evm shahari shakhaon ka niyantran kiya. Aapne shakha prabandhak (sahayak mahaprabandhak) ke pad par rahate hue, New Delhi sthit mahanagriya shakha ka safalta poorvak sanchaalan kiya. Aap bank ke aarthik anusandhan vibhag, Corporate Centre, Mumbai me mukhay prabandhak ke pad par kaaryarat rahe. Aapne bank me vibhinn padon par rahate hue 40 varshon ka bainking anubhav praprt kiya. Aapne bankig evm vittiya patrikaaon ke liye vibhinn vishyon par lekh likhe hain evm vibhinn banking sammelanon (BANCON) me shodhpatra bhi prastut kiye hain.

Shri Sabnani ne vyavsaay prashaasan me snattkottar (MBA) kee degree, baking evm vitt me visheshagyata ke saath, IGNOU, New Delhi se evam MA (Economics) kee degree, Jiwaji University, Gwalior se praprt kee. Aapne CAIIB, Bank prabandhan me diploma (DBM), Maanav sansaadhan prabandhan me diploma (DHRM) evm Vittiya sevaon me diploma (DFS) bhartiya banking evm vittiya sansthan (IIBF), Mumbai se prapt kiya. Aapko Bhartiya Bank Sangh (IBA), Mumbai dwara pratishthit "C.H.Bhabha Baking Research Scholarship" pradaan kee gaee thi, jisake antargat aapne "Branch Profitability - Methodology for its Proper Assessment" vishay par shodh kaary safalata poorvak sampann kiya. Aap teen pustakon ke lekhak bhi rahe hain - (i) Vishav Vyaapar Sangathan: Bhartiya Banking evm Udyog par prabhav (ii) Banking Today and (iii) Banking Update.

Book Details

ISBN: 9781637546949
Publisher: Self-publishing
Number of Pages: 169
Dimensions: 8.26"x11.70"
Interior Pages: B&W
Binding: Paperback (Perfect Binding)
Availability: In Stock (Print on Demand)

Ratings & Reviews

'Bhartiya Arthik Darshan Evam Pashchimi Arthik Darshan Me Bhinnatta'

'Bhartiya Arthik Darshan Evam Pashchimi Arthik Darshan Me Bhinnatta'

(5.00 out of 5)

Review This Book

Write your thoughts about this book.

2 Customer Reviews

Showing 2 out of 2
Manoj Kumar Sabnani 1 year, 2 months ago

Nice Compilation on Bhartiya Arthik Darshan

An exquisitely rendered chronological exposition of economic events within the context of India is presented. This presentation effectively elucidates diverse economic models, expounding upon their respective merits and demerits. The work inherently underscores the advantages encapsulated within the Indian Economic Model, along with its enduring repercussions. The book's inherent allure is amplified through the integration of anecdotal narratives and poetic interludes, complemented by the inclusion of perspectives and citations from esteemed economists, intellectuals, and proponents of social reform. A compulsory perusal for individuals aligned with Hindu Philosophy and the principles of Sanatan Dharma, the volume also serves as a highly valuable reference compendium, replete with contemporary statistical data and a comprehensive overview of the global economic landscape.

psabnani 1 year, 3 months ago

भारतीय आर्थिक दर्शन एवं पश्चिमी आर्थिक दर्शन में भिन्नता: वर्तमान परिपेक्ष्य में भारतीय आर्थिक दर्शन की बढ़ती महत्ता

A beautiful chronological presentation of economic events in India. It gives a very clear picture of different economic models and their pros and cons. It brings about the benefits of Indian Economic Model and its long term impact. The book is made very interesting with the help of small stories and poems along with views and quotations of renowned economists, thinkers and social reformers. A must read for someone who believe in Hindu Philosophy and Sanatan Dharma. A very useful reference book having latest statistics and overview of the world economy.

Other Books in Business & Economics

Shop with confidence

Safe and secured checkout, payments powered by Razorpay. Pay with Credit/Debit Cards, Net Banking, Wallets, UPI or via bank account transfer and Cheque/DD. Payment Option FAQs.