You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Yeh naatak aaj ke yug ki maang hai. Aaj har kshetra mein hamari bahu-betiyan asurakshit hain. Ek naari ki peeda ko naari behtar samajh sakti hai. Aaj pratyek naari ko naari ki madad ke liye aage aana hoga. Aise mein jarurat hai pratyek naari ko majboot banane ki. Uske ander anyaaya ke khilaf ladne ki taakat bharne ki.
Kai ghatnaayein humein aahat karti hain. Hridaya ke us kaune ko sparsh karti hain, jahan vedna viraajmaan hoti hai. Vasant Vihar wali ghatna ne pure desh ko jhakjhor kar rakh diya. Nirbhaya hamare beech nahi rahi parantu vah jakhm, vah ghaava ab bhi hare hain. Yeh naatak meri taraf se Nirbhaya ko ek bhaavbhini shradhanjali hai. Mere liye is natak ki prerna Nirbhaya hai. Nirbhaya ne pure desh ko himmat di. Dukh aur peeda mein lad gujrane ke jajbe ko pure desh ne salaam kiya. Vah swayam ke liye ladi isliye pure desh ne uske liye ladai kari, nyaya ki ladai aur akhirkaar vah vijayi rahi. Uski prataadana ke kasurvaaron ko aakhirkaar sajaa mili. Desh ki sabhi ladkiyon ke liye vah sabak ban gayi. Aaj ki beti swayam par hue atyachaaron ka viroodh karti hai. Chaahe uske liye use kisi bhi cheez ka sahara lena pade, nyaya ka, saahas ka, ya balidaan ka. Yeh naatak likhte samay mere pure man, mastishka mein nirbhaya thi. Uski peeda ko meri kalam ne mehsus kiya hai. Is naatak mein mithak ka prayog karne ka mera uddeshya yeh batana hai ki naari dwara sahi gayi vedna nayi nahi, puraani hai. Natak ki pramukh patra Draupadi aaj ki mahila hai. Uski samsyayein pratyek naari dwara sahi jaane wali samsyayein hain. Apna astitva bachane ki jaddojahad mein lagi Draupadi antatah purush pradhan samaj dwara pradit ki jaati hai.
Currently there are no reviews available for this book.
Be the first one to write a review for the book Nirbhaya ka Aaghaaz (निर्भया का आग़ाज़).