You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Pratyek vyakti ki jeevanshaily ke prati ek kalpana,ek vyaktigat vichar,ek mahatvakanksha hoti hai, jise vah sadev aur adhik utkrisht banane ka prayas karta rehta hai.Bas isi disha me apne sukshm nirikshnon evm anubhavo ko sajha karte hue lekhika ne in chhote- chhote lekhon ko rachnattmkta dee hai. Lekhon ko moort roop dene men lekhika ka anubhav,sukshm avlokan aur anusandhan aadharbhoot raha hai.Ek sankhyiki evm banking ki prishti bhumi ke vyakti ka hindi bhasha ke prati aisa lagav evm prabhutv virle hi dekhne me aata hai.
Yah lekh mala dainik jeevan me aane wale anubhavo ko sunder roop se abhivyakt karte hai wahin unke peechhey chhipe karno ka vishleshan kr hamara margdarshan bhi karte hai.Yah chhote chhote lekh lekhika ki samajik parivesh ki vistrit jankari, vyavhar gyan ke sath hi vyang evm manoranjak prastuti ke karan pathaneey bn padi hai.
Lekhon ki bhasha saral hindi hai jisme awashyaktanusar prachlit angreji shbdon...
Lifestyle Bhag -1
सोम्या जी ने रोज़मर्रा जीवन के छोटे छोटे प्रसंगो का सूक्ष्म अध्ययन कर एक रचना प्रस्तुत की है। यह लेखमाला उनके गहन अनुभव, विस्तृत अध्ययन और विचार मंथन का परिचायक...