You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Kaha jata hai ki jeevan, samay aur urja ka ek nishchit mishran hai.mene socha kyon n jis tarah se hum apne aas paas hone wali chhoti-chhoti cheezo ko din- pratidin dekhte hain,use dekhne ka tareeka (rang) badla jaye.Kyon n inme samay aur urja je sath najariye ka rang bhi bhara jaye.isi vichar ke sath mene, samany jeevan men hm sabke paas hone wali chhoti badi cheejo ka avlokan ker unhe likhna shuru ker life style ke lekhon ka srjan kiya hai,isme se 50 ankon ka sanklan life style (bhag-1) pustak purv me prakaashit ho chuki hai.
Mujhe yah batane men apaar khushi ho rahi hai ki aise kuchh aur lekhon ke sangrah ki pustak ab "life style" (bhag-2) prakashan ki or kadam badha rahi hai,iske lekh pratidin ki jane wali chhoti-chhoti cheejon ko adhik hasyprad aur seekhne ka drishtikon pradan kerte hai.aasha hai ki aap bhi is pustak ko jeevan me din-pratidin ki samasyaaon, khushi ke palon aur any bhavon ko dekhne ke liye ek achche sathi ke rup me payenge.
lifestyle भाग 2
यह पुस्तक हर उम्र के पाठको के लिए मार्गदर्शन मे सहायक है। सौम्या जी ने रोज़मर्रा जीवन के छोटे छोटे प्रसंगो का सूक्ष्म अध्ययन कर एक रचना प्रस्तुत की है। यह लेखमाला उनके गहन अनुभव, विस्तृत अध्ययन और विचार मंथन का परिचायक है। लेखों की भाषा शैली समान्य प्रेषण में उपयोग में आने वाली प्रवाह युक्त है। बीच बीच मे अंग्रजी के शब्दों का प्रयोग विषय को समझने मे सहायक है। लोकप्रिय मुहावरों और दोहों का प्रयोग पाठक को बंधे रखता है। पुस्तक का सम्पादन, प्रारूपण आदि सभी उच्च श्रेणी के है।