You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Jis tarah kisi madhur sangeet rachna ka prabhavi sanyojan sur, tal, lay, swar, taan ityadi ke samanjasya ke bina nahi ho sakta, usi tarah safalta pane ke liye sakaratmak soch, atmavishwas, dhairya, utsah, ekagrata, emandari, madhurwani ityadi jaise kai guno ka samanvay aavashayak hai.
Aaj kaun safal nahi hona chahta hai? Lekin safalta pane ka koi shortcut nahi hota hai. Safalta koi raste per padi hui cheeze nahi hai, jo kisi ko bhi kismat se achanak mil jaye. Iske liye kadi mehnat ki jarurat hoti hai. Her safalta ki raah kathinaiyon ke beech se he ho kar gujrati hai. Prantu safal hone se bhi jyada dushkar hai, safalta banaye rakhna.
Prastut pustak mein es baat ko samayojit kiya gaya hai ki sthayi safalta pane ke liye aapko apne andar koun – koun se guno ka vikas kar unka samanjasya sthapit karna hai, jisase saflata ki raah aasan ho sake.
Safalta ke Sur
The author has a very simplified approach for explaining the topics. The write up has enough real life examples for easy understanding. I will definitely recommend this book for readers. Cheers