You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Swami Vankhandi Maharaj ji se sakshatkar, satsangon par aadharit roohi bhasha mein prakashit 'Bhagwan ka priya naam' pustak se anuvaadit
'Kaliyug Keval Naam Adhara'. Yah pustak Maharaj ji ke roohi bhakton dwara bharatiya hindi bhashi janmanas ko pradan ek anupam upahaar hai. Is pustak mein samahit Maharaj ji ke pravachanon mein gyan, vigyan aur adhyatm ki badi-badi rahasyamayi baatein nahin hain balki hum sabke dainik jeevan, aachar-vichar, vyavhar se sambandhit kalyankari baatein hain, jo nirasandeh manavta ke liye vardaan sadrshya hain. Maharaj ji batate hain ki yadi aap mumukshu hain to kaisa jeevan jiye; sadhak aur bhakt hain to kaise jiye aur grihsth hain to kaise jiye. Apne pravachanon mein Maharaj ne apni sadhana kaal ke anubhav aur unko huye divya darshanon ki baatein rochak tarike se bataayein hain jo aashcharya aur rahasya ki duniyon mein pravesh karati hain. Ye baatein ingit karati hain ki manav se mahamanav banne ki prakriya bahut aasan bhi nahin hai. Is marg mein sangharsh, shraddha, niyam, nishtha evam dhairya ke saath kasht sahkar aage badhna hota hai aur jisne kasht sahna sweekar kiya, jo bhaga nahin, hara nahin, apne marg par adiga raha uske sangharsho ki tapan hi ek din ishwar ki daya roopi sheetal jaldhar bankar lautti hai aur prabhu ka sneh praapt hota hai.
English:
The book Kaliyug Keval Naam Adhara is a unique gift to Hindi-speaking readers, presented by Maharaj Ji’s devoted followers. Unlike texts filled with complex philosophical and scientific mysteries, this book focuses on practical wisdom for daily life, conduct, and behavior—offering invaluable guidance for humanity.
Maharaj Ji explains how different individuals should live based on their spiritual aspirations: whether one is a seeker (mumukshu), a practitioner (sadhak), a devotee (bhakt), or a householder (grihastha). Through engaging narratives, he shares his experiences during his spiritual journey, including divine visions that transport readers into realms of wonder and mystery.
The book emphasizes that the path to transforming from an ordinary human to an enlightened being (mahamanav) is not easy. It requires struggle, faith, discipline, steadfastness, and patience. Those who endure hardships without fleeing or giving up eventually receive divine grace, as their perseverance is rewarded with the cooling shower of God’s mercy and love.
Currently there are no reviews available for this book.
Be the first one to write a review for the book Kaliyug Kewal Naam Adhara.