You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Is sangrah ki kavitaaon me vividhta hai, inke Vishay, parivesh, mijaj, tevar, shaili aur paridrishya ke star par ye kavitaayen bahut der aur bahut dur tak pathakon ke sath chalne ki kshamta rakhti hain. Ye sabhi kavitaayen jivan, prakriti, prem, jivan sangharsh, pratirodh aur parivartan ka aakhyan gadhte hue mehnatkash aam aadmi ke sath n keval khadi hain balki uske sath-sath chalti hain. Usme sapne jagati hain, ummid bandhati aur hausla badhati hain. Sapna samman ke sath behtar jindagi ka. In kavitaaon se gujarte hue Pathak ka thahar kar sochna, bechain hona aur in paristhitiyon ko badalne ke liye utprerit hona tay hai kyunki ye kavitaayen hamare samay ki kavitaayen hain, hinsak samay aur hinsak hote logon ki duvidha, manovriti, soch aur vyvahar ko pradarshit karne wali kavitaayen hain.
Currently there are no reviews available for this book.
Be the first one to write a review for the book Maa ki Yaad.