You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
क्या आपका बच्चा आपसे दूर होता जा रहा है?
Har maa-baap ka ek hi sawal hota hai - "Humne kahan kami chhod di?"
Aapka bachcha poora din phone me busy hai, aap kuch kehte hain to "aap nahi samjhoge" keh kar kamra band kar leta hai. Career ki baat karo to chup, rishte ki baat karo to gussa.
Agar ye kahani aapke ghar ki lagti hai, to ye kitaab aapke liye hi hai.
"जेन-जी को समझो तो जिंदगी आसान है" ek lecture nahi hai. Ye ek pul hai jo aapki duniya ko aapke Gen-Z bachche ki duniya se jodta hai.
Is kitaab ko Anupriya Srivastava (Rozy) ne apne anubhav aur Gen-Z ke manovigyan ko samajh kar likha hai, taaki aap daantne ki jagah samjhana seekh saken.
Is kitaab me aap seekhenge:
1. Phone Addiction se Ladna Nahi, Samajhna Hai
Bachcha phone kyon nahi chhodta? Uske peeche ka science kya hai? Bina jhagde ke screen time kaise control karein.
2. Bina Daante Career ki Baat Kaise Karein
"Sharma ji ke bete ko dekho" bolne se kyon bachcha aur door hota hai? Usko motivate karne ka sahi tarika kya hai?
3. Rishte me Bharosa Aur Dosti Kaise Banayein
Maa-Baap se Dost banne ka safar. Trust kaise jeeta jaye taaki bachcha apni har baat aapse share kare.
4. Unki Bhasha me Unke Dil Tak Kaise Pahunchein
Unki duniya ko samajh kar unse connect kaise karein.
Ye kitaab aapko perfect parent nahi banayegi, par ek behtar dost zaroor banayegi.
Agar aap chahte hain ki aapka bachcha bada hokar bhi aapka sabse achha dost bana rahe, to aaj hi ye guide apne ghar layein.
Mata-Pita ke liye ek zaroori guide.
Currently there are no reviews available for this book.
Be the first one to write a review for the book जेन-जी को समझो तो जिंदगी आसान है.